( This is a completely fictional story.)
~kuchh Ankahee 🥀 (JR)
Bahut tez baarish ho rahi thi aur rasta bhi sumsam tha. Mujhe dar lag raha tha kyuki is raste se me kabhi nahi gy. Mene bas bahut si kahaniyan suni hai iske baare me aur yha aaspas ek haveli hai uske baare me log kehte hai ki yha par koi saaya hai jo raat ko ghumta hai.
Mera bhi dimag kharab tha jo me ravi ke saath nahi gy aur yha is raaste pe aakar fas gyi. Yha se jaldi hi mujhe niklna hai bas yahi sochkar me gadi ki raftaar badha rahi thi. Lekin, pata nahi kyu mujhe aisa lag raha tha ki me aage hi nahi badh paa rahi. Yeh gadi jaha hai vahi bas ghum rahi hai. Pata nahi kya tha kya hoga kuchh pata nahi. Me bas aapni puri koshish kar rahi thi yha se khud ko chhudane ke liye.
Achanak meri gadi bandh pad gy. Mene bahut try kiya lekin, koi fayda nahi huaa. Me is bhayanak raaste par akele chalna nahi chahti thi isliye me gadi me bethkar kisi ke aane tak ka intezar karne lagi. Lekin, vo intezaar bhi bada mushkil tha. Har ek second ke saath meri heartbeat badh rahi thi. Tabhi vaha pichhe se ek car aati huyi dikhay di mene turant gadi se nikalkar vo gadi me bethe insaan se lift mangi.
Usne mujhe bina kuchh puchhe lift dene ke liye taiyar ho gya aur aapne samne wala darwaja kholkar mujhe bethne ke liye kaha.
Vo bada chupchap sa betha tha. Mene usse baat karne ki koshish ki taki me uska naam jaan saku. Lekin, usne kuchh nahi kaha bas vo gadi chalaye jaa raha tha. Mene bhi aab usse kuchh na puchhte huye chup rehna hi sahi samjha.
Mene kach ke bahar dekha to yeh kaunsa raasta hai. Yeh raasta mene kabhi nahi dekha. Mene usse baar-baar puchha ki yeh tum mujhe kaha le jaa rahe ho. Lekin, usne koi jawab nahi diya. Aab mujhe aapne faisle par pachhtava ho raha tha ki, kyu mene yeh raasta chuna aur kyu kisi anjaan aadmi se lift li. Mene usko gadi rokne ke liye kaha usne fir bhi gadi nahi roki air ulta gadi ki raftaar tez kardi. Thodi der baad usne gadi ek sumsam jagah par roki. Usne jaise hi gaadi roki mene aur kuchh nahi dekha mene jaldi se darwaja khola aur bahar nikal gy. Bahar nikal kar jab mene dekha to vahi samne ek haveli thi jo kafi badi thi lekin bahut hi bhayanak lag rahi thi. Haveli ko dekhkar hi kisiki jaan nikalkar haath me aa jay. Mene turat us aadmi ko puchhne ke liyeh pichhe mudkar dekha lekin, vhaa koi nahi tha... Koi nahi... Aab mujhe lag raha tha jaise me yha fas chuki hu Aur tabhi kisinee mere pairo ko jor se khichaa....... to be continued in the next part - Kuchh Ankahee 🥀 ( JR )
Comments
Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓
No comments yet.
Be the first to express what you feel 🥰.
Please Login or Create a free account to comment.