Kisi ki shaadi hoti hai to uske bahut sapne hote Hain.
Ki oska Pati osko bahut pyar Karen, usko samjhe ,usko samman dilae, uska Dhyan rakhe ,aisi bahut si baten ...nahi Ho pata hai shoro shoro me pata hai .par wo aurat koshish karti hai apne pati ko apna banane ki. rishta naya hota hai donon ke liye. Aurat ko lagta hai usme kuch Kami hai. Uski sari baten Manti hai Jo kahta hai aur wo bhi ,or Jo nahin kahta wo bhi sari baten uski aankhon se padh leti hai usko kya chahie .acche se taiyar hoti hai ,sab Ko ghar mein khush rakhti hai, bacchon ka Dhyan deti hai ,aur Raat Ko intezar karti hai. ki mera Pati aaega mujhe pyar Karega .mujhse poochh lega kya kiya tumne pure din .aaj ka din kaisa raha .kisi ne pareshan to nahin kiya Ghar per tumko. mujhe yad nahin kiya tumne ek bhi phone nahin kiya .dudh Piya tha ,khana khaya tha, ye Mithi Mithi kuchh baten intezar karti hai. Apne Pati ke hathon ko sparsh Ko yad karti hai usko mehsoos karne ke liye intezar karti hai .par pati bichara kya kare wo takha hoa hota hai pore din kam jo kar ke aaya hai.phir 2 sal ke andar bachcha ho jata hai .abhi bhi bahut Biji hota hai oska pati . uske pass samay nahin hota Apne bacche ko raat mein godi mein lekar ghumane ka kyunki takha kya hota hai. Aise karte karte 10 12 sal nikal jaate Hain aurat ko samajh mein nahin aata .ki kya hai ye jindagi kya kya kar rahi hai wo .kiske liye kar rahi hai .kiske liye saj Rahi hai .uska aadami to busy hota hai uske pass samay nahin hai ye sab dekhne ke liye.ek din wo aurat Ghar chhod Deti hai. Ok kehti hai ab kam karo . jitna karna hai karo .jiske liye karna hai karo .koi nahin kahane aaega mujhe dekho, mujhe samjho, mujhe pyar Karo ,meri izzat karo ,Meri izzat karao. ek question hai aapse .kya galat Kiya os aurat ne.?
12 saal me 4 bar ghar chora or mauke maula diya kitna kitna samay chaiye ek aadmi ko ye samajne ke liye ki ek aurat ko kya chaiye.kitna samaj .
Or pata hai phir kya hoa.
Osne phir ek mauka diya.hai Na hasne wali bat .wo bhi sahi yehi soch kar ki aakhir me kya kar rahi ho.
To be countined...
Comments
Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓
No comments yet.
Be the first to express what you feel 🥰.
Please Login or Create a free account to comment.