Kitne gye aur kitne aaye the , kuchh mauke maine hi khud se churaye the .
Jab mauka tha kisi ko palat kr jawab dene ka , Kyu chup rehna chuna gya .
Jab mauka tha khud ke liye ldne ka , Kyu shaant rehna chuna gya ..
Jab mauka tha , khud ko ek mauka dene ka , Kyu Dr kr pichhe htna chuna gya .
Jb tha mauka khud ko chunne ka , Kyu usme bhi dosti ke farz aaye the , Aur jo shayad sirf maine hi nibhaye the .
Kitne gye aur kitne aaye the , kuchh mauke maine hi khud se churaye the.
Jab zindagi ne mauke diye , Maine khud se chura liye ,
Ab khud ko mauke diya krti hu , Zindagi se chura kar ke ..
Ab jahan zruri, vahan jawab bhi diya krti hu , khud ko smjha kar ke ...
Ab khud ke liye ldna jaanti hu , Bina kisi drr ke ...
Vo mauke , jo mauka milne pr bhi , khud se churaya krti thi , ab mauka na milne pr bhi unhe dhundh liya krti hu .
Bas zameer mera jhuke nhi , khud ki nazron mein main girun nahi. Kuchh esa mujhse ho jaye nahi , har dafa khud se kaha krti hu...
Kuchh hai jo abhi seekhna , jaari hai .
Kuchh hai jo abhi seekhna baki hai ,
Pr seekhna pura Krna hoga , Kyuki Krna zruri hai .
Khud ko chunna seekhna hoga ,
Khud ko chahna seekhna hoga
Khud ko dantna to ata hai ,
Khud ko palosna seekhna hoga ,
Kyuki seekhna zruri hai ...
Kuchh sau martaba ab khud ko dekh muskuraya krti hu ,
Kyuki ab nahi khud se koi mauka churaya krti hu ...
Kitne gye aur kitne aaye the, Haan kuchh mauke maine hi khud se churaye the... !!
Comments
Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓
No comments yet.
Be the first to express what you feel 🥰.
Please Login or Create a free account to comment.