" Jab tu kehh na sake to Ro lia kar,
Jab tu kehh na sake to Ro lia kar ..
Main tere khamosh lafzo ka As-Samee hu.
Tere Alfaazo ki bebasi mujhse posheeda nahi ..
Me teri Maujuda bay-hisi ka Al-Khabeer hu.
Tere saath hu Me, tu is baat pe yaqeen kar ..
Me tere Baab-e-qalb ka Al-Hafeez hu.
Tere Hausle Ka muhaafiz hu, thoda Sabar kar ..
Me tere emtehaano ka Wahid Al-Waqeel hu.
Tere Ashqo ke sawaalo ka jawaab zarur dunga, thodi Duaa kar ..
Me hi to tera Rabb Ar-Rehmaan, Raheem hu . "
............
As-Samee : one who hears & sees everything
Posheeda : hidden
Bay-hisi : numbness
Baab-e-qalb : The door of your heart
Al-Hafeez : Protector, guarding one
Muhaafiz : A keeper
Wahid : The only one
Al-Waqeel : disposer of all affairs
Ar- Rehmaan : Most entirely merciful
Raheem : bestower of mercy
Comments
Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓
Very nice dear😇
Thank you :)
Please Login or Create a free account to comment.