Aaj khudko mene kuch yu nayaa sa paya hain…
Betha hu apno ki bheed me, Aur khudko bohat tanhaa paya hain .
Hisaab tha mera yu muntazir, To qadmo ne bhi sath nibhaya hain.
Hona tha kuch waqt tanhaa.. Aur bhari ronaq me khudko bithayaa hain.
Deni thi chhuthe hue daur me dastak. Maine khudko firse puraani pehchaano se milwaya hain .
Hona tha kuch waqt tanhaa.. Mere wajib hisaab ne ye waqt layaa hain.
Dhundhaa bhi khudko sabhi ki nazro main, Aur har baar alag alag paya hain.
Khudko wahi hu main, aaj firse kehalwaya hain, Aur sath hi puraani muskurahato me khudko firse hasayaa hain.
Aaj khudko mene kuch yu naya sa paya hain..
Betha hu apno ki bheed me, Aur khudko bohat tanhaa paya hain .
______________________________ *** __________________________________________
Muntazir : expectant, one who waits
Wajib : necessary, obligatory
Comments
Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓
Yu toh hum poetry ke fan kabhi the nehi , lekin apki khubsurat poetry sunke dil ne kaha ki ise v humein ek mauka dena chahiye.
Thank you Rashmi Baa :)
More please!!! ❤️❤️❤️
On the way !!
😍👏👏
Please Login or Create a free account to comment.