That light brown jacket

Bachpan ki ek adhuri khwahish per ek chhoti si kahani.

Originally published in id
Reactions 0
425
Badiuzzaman
Badiuzzaman 19 Jul, 2022 | 3 mins read
#paperwiff

Har shakhs ki zindgi me bachpan ke daur ki ek khwahish aisi zaroor hoti hai jo takmeel na pasaki, aur maujooda waqt me uske pas Alhamdulillah sabkuch hone ke bawjood wo ek purani aur nanni khwahish kabhi na kabhi uske zehen me ek "kash" lafz bankar usko tang karti rehti hai,

Aisa hi ek qissa mere sath bhi hua tha, ghaliban 8th, ya 9th class ki baat rahi hogi, mujhe sahi se yaad nahi, us waqt ghar ke halaat bohot zyada achhe nahi the, aur dusra ye bhi tha ki mene hamesha apni khwahishon ko kuchla jab tak me thoda bohot khud kuch nahi karne laga tha, ye mene isliye bataya ki me kisi se kuch keh nahi pata tha agar kuch chahiye hota ya kuch psand ajata tha, aur shayad aaj bhi vaisa hi hu. Mujhe lagta tha ki hamare walidein pehle se bohot kuch kar rahe hain hum sabke liye, unper mazeed bojh na dala jaye.

Khair sardiyon ki ek subah abba mujhko lekar market aye hue the, ghar ka kuch saman khareedna tha,

Abba samaan khareedne me masroof hogaye, me bahar khil rahi sard mausam ki dhoop ki firaaq me bahar agaya dokan ke, tabhi meri nazar mere theek samne garments ki ek shop per gai achanak, jahan ek brown jacket display me lagi hui thi, achha baat aage badhane se pehle me apne aaj ke waqt ka batadu ki mujhe bahar se hi cheezen psand aati hain aaj bhi, mere sath bhot kam hua hai ki me kisi shop per gaya hu aur ek dher lagwadiya ho pasand karne ke liye. Shayad is adat ki wo pehel thi jab mujhe us light brown jacket se pehli nazar me betahasha ishq hogaya tha. Abba abhi bhi masroof the mene mudkar dekha, isliye me chupke se us shop (jo ki kathpula se jab hum rasalganj ki taraf utarte hain aur circle se U Turn lekar right hand per pehli jo shop hai wo hua karti thi) usper gaya aur uska pehle qareeb se muayena kara aur khudki pasand ki daad bhi di😊, phir uski qeemat puchhi... wo qeemat us waqt meri auqaat aur meri khwahish se bhot upar ki baat thi, aaj se taqreeban 18, 19 sal pehle 1200 rupees, aur wo bhi hamare liye bohot maani rakhte the, jis tajassus se me qeemat maloom karne gaya tha dokan per, uske bar'aks wapsi me abba tak aate aate mere andar na jane kya kya ghoom gaya tha, bohot si be-awaz shikayaten thn jinka gala dil.me hi ghont diya tha mene, shayad agar wo khwahish me abba ko batadeta to jaise taise karke wo mujhe khushi khushi wo jacket dila dete, magar mujhe wo na us waqt gawara tha na aaj hi hopata, kyu ki unse ya kisi se bhi apni kisi arzoo ko keh saku ye mere andar himmat hi nahi hui kabhi. Khamoshi ke sath umr ka ek taweel hissa guzara hai mene aaj tak. Khair unwaan ke anjaam per aate hain.

Aaj Alhamdulillah halaat bohot achhe hain, aaj mere pas us jaisi na jane kitni jackets hain mujhe khud nahi pata. Lekin sach kahu to aaj tak us "la-hasil light brown jacket" ki jagah koi kapda nahi lepaya. Agar mujhse puchha jaye ki "aaj tak jo kuch bhi paya, kya koi "kash" hai dil me jo kabhi kabhi chubhta ho." me kahunga ki wahi ek sard mausam ki subah me mere samne wali dokaan per tangi hui "light brown jacket"

0 likes

Published By

Badiuzzaman

badiuzzaman

Comments

Appreciate the author by telling what you feel about the post 💓

Please Login or Create a free account to comment.